Nikle The Kabhi Hum Ghar Se
Ghar Dil Se Magar Nahi Nikla
Ghar Basa Hai Har Dhadkan Mein
Kya Karein Hum Aise Dil Ka
Badi Door Se Aaye Hain
Badi Der Se Aaye Hain
Par Yeh Na Koyi Samjhe
Ham Log Paraye Hain
Katt Jaaye Patang Jaise
Aur Bhatke Hawaon Mein
Sach Puchho Toh Aise
Din Humne Bitaye Hain
Par Yeh Na Koyi Samjhe
Ham Log Paraye Hain
Yahi Nagar Yahi Hai Basti
Aankhein Thi Jise Tarasti
Yahan Khushiyan Thi Kitni Sasti
Jaani Pehchani Galiyan
Lagti Hai Puraani Sakhiyan
Kahan Kho Gayi Woh Rang Raliyan
Baazaar Mein Chai Ke Dhabe
Bekaar Ke Shor Sharaabe
Woh Dost Woh Unki Baatein
Woh Sare Din Sab Raatein
Kitna Gehra Tha Gham
Inn Sab Ko Khone Ka
Yeh Keh Nahi Paaye Ham
Dil Mein Hi Chhupaye Hain
Par Yeh Na Koyi Samjhe
Ham Log Paraye Hain
Nikle The Kabhi Hum Ghar Se
Ghar Dil Se Magar Nahi Nikla
Ghar Basa Hai Har Dhadkan Mein
Kya Karein Hum Aise Dil Ka
Kya Humse Hua Kya Ho Na Saka
Par Itna Toh Karna Hai
Jis Dharti Pe Janme The
Uss Dharti Pe Marna Hai
Jis Dharti Pe Janme The
Uss Dharti Pe Marna Hai